Us Khuda-e Paak | Ibadat Karo | Anil Kant

Us khuda-e paak ke saaye mein hai, kitna sukoon
Woh mera ghar hai, Panaah meri mai yeh sabse kahoon

Uspe hi tu rakh umeed aur, Uspe hi kar le yakeen
Jaal mein sayeead ke tujhko chuda lega wahi
Woh tujhe apne paroon se dhaank lega pyar se
Uski sachaai hai teri dhaal ab darta hai kyun

Chahe din ke teer hon ya raat ki hai baat ho
Tujhko choo bhi na sakenge chahe jo haalat ho
Is taraf kitne girenge us taraf bhi beshumaar
Par tere nazdeek bhi na aa sakegi maut yun

Tumne hak taala ko mana is liye yeh baat hai
Har musibat mein ya aafat mein woh tere sath hai
Sher ko bhi raund kar tu yun nikalta jaayega
Woh tujhe bakshega izzat umr bhar dega sukoon 

See also  Hey hamare Pita tu jo swarg mein hai | Khudawand tujhe barkat de | Anil Kant