Vishwas parkha jaayega | Yeshu Paaya Re | Anil Kant

vishwas parkha jaayega song
anil kant vishwas parkha jaayega

Vishwas parkha jaayega, anand samjho
Shaitaan tumko darayega, anand samjho
Hogi pariksha dheeraj badhega
Tapne ke pashchaat sona banega
Anand samjho-2

Seema ke baahar pariksha na hogi
Yesu ki marzi se har baat hogi
Jitna vachan mein samaayega, Anand samjho-2

Yesu vachan ka upyog karna
Kaisi bhi aafat ho bilkul na darna
Us paar yesu le jaayega, anand samjho-2

[Pariksha-Test, tapne ke paschaaat- after refinement,
Samaayega- immerse]

Jayjaykar Jayjaykar | Yeshu Paaya Re | Anil Kant

yeshu teri jayjaykar anilkant
yeshu teri jayajaykar

Jayjaykar jayjaykar jayjaykar
Yesu teri jayjaykar-2
Yesu teri jay jay-3
Yesu teri jayjaykar..

Anugrahkari dayalu hai
Bhala woh sabka chahta hai
Karta hai woh udhar…

Ati karunamayi data hai
Krodh vilambh se karta hai
Sabse karta hai pyar…

Girte huon ko uthata hai
Bojh sabka hatata hai
Mahima teri apaar
[anugrahkari- graceful, vilambh- slow]

Surile Surile Bhajan | Yeshu Paaya Re | Anil Kant

Surile Surile bhajan hain masih ke
Surile Surile bhajan hain masih ke anil kant

Surile Surile bhajan hain masih ke
Jeevan ke pyaale vachan hain masih ke
To aao yesu ke darbar aao chalo
Anand utsav manao chalo
Anand utsav-2

Sangeet mera uska anugrah
Har geet mera uska anugrah
Kitne nirale bhajan hain masih ke
Jeevan ke pyale….

Yesu vachan se abhishek aaye
Abhishek aaye bandhan mitaye
Milte hain aise mausam khushi ke
Jeevan ke pyale…..

Yeshu Paaya Re | Yeshu Paaya Re | Anil Kant

yeshu paya re song
yeshu paya re anil kant

Jeevan ke khoj mein nikla re
Yesu paaya-4
Marg paaya satya paaya jeevan paaya re-4

Is duniya mein ghor andhera
Shaitaan ne hain daala dera
Sabke man ko usne ghera
Sabke man ko usne phera
Nikla ujiyale ki khoj mein….

Man ke andar paap ki nagri
Bharti jaye karm ki gagri
Kaun nikale bhavsagar se
Meri pyaasi ankhiyan tarsen
Nikla chutkare ki khoj mein….

[Gagri- bucket, bhavsagar- Sea]