Aye Khudawand, Tune mujhko,
Jaanch liya, parakh liya
Mera uthana, baithanaa,
Mere khayal door se, jaan leta hai
Mere raste aur meri khwabgaah, pata hai Tujhe
Har ravish se meri, waakif hai Khuda
Meri zubaan pe,
Har ek baat ko Tu, jaanta hai
Haath apna tune mere,
Aage aur piche rakha hai Main tere rooh se,
Bachkar ke kahan jaaonga
eri aankhon se bhala, Kaise main, chup jaaonga
Tu aasman ka Khuda hai,
Tu samandar mein basaa hai
Agar kahoon ke andhera
Mujhe chupa lega
Teri nazar mein ujala,
Andhera yaksaan hai
Mere dil ko bananewala
Khuda, hai Tu hi
Pet mein maa ke mujhe
Tune meri soorat di
Ajeeb taur se main bana,
Hairat angez, Tere kaam
Aye Khuda Tere khayal
Mere liye, kitne hain
gar ginoo to ret se
Bhi kahin zyada hain
Jaag uthte hi tujhe
Paas mere pataa hoon
Dekh main tere dushmanon se
Door rehta hoon
Mujhe aazamaa, raah pe chala
Har badi se, mujhko bachaa
Khwabgaah- place of sleep, ravish- overwhelm with emotion,
waaqif- aware yaksaan- similar, Hairat angez- miraculous