Khuda Hai Mohabbat | Khush Khabri | Anil Kant

Khuda Hai Mohabbat, Mohabbat Khuda hai
Khuda Ki Mohabbat, Sabse Judaa hai

Mere Doston ne mujhko ik din bulaya
Yeshu masih ka mujhko kissa sunaya
Sunke woh baaten mera sar jhuk gaya hai
Khuda Hai Mohabbat…

Nayi Zindagi se mud kar, wapas na jaana
Shaitaan ki baaton mein, phir se na aana
jannat ka humse khuda ne wadaa kiya hai
Khuda Hai Mohabbat…

Ya Khuda, Ya Khuda, tu hai mera Masiha

खुदा है मोहब्बत, मोहब्बत खुदा है
खुदा की मोहब्बत, सबसे जुड़ा है

मेरे दोस्तों ने मुझको इक दिन बुलाया
येशु मसीह का मुझको किस्सा सुनाया
सुनके वह बातें मेरा सर झुक गया है
खुदा है मोहब्बत…

नयी ज़िन्दगी से मूड कर , वापस न जाना
शैतान की बातों में , फिर से न आना
जन्नत का हमसे खुदा ने वादा किया है
खुदा है मोहब्बत…

या खुदा, या खुदा, तू है मेरा मसीहा

Khuda Hai Mohabbat | Khush Khabri | Anil Kant
Khuda Hai Mohabbat | Khush Khabri | Anil Kant

Choo Liya | Khush Khabri | Anil Kant

Choo liya – 3, haan mujhe choo liya -3
Yeshu ke naam ne Yeshu ke pyar ne
Yeshu ke saath ne choo liya
Yeshu ke roop ne Yeshu ke rang ne
Yeshu ki baat ne choo liya
Yeshu ne choo liya haan choo liya
Choo liya – 3….

Pyar hai pyar hai -2
Woh mera pyar hai mera qaraar hai
Mujhko Yeshu ka intezaar hai

Woh jald aayega mujhko le jayega
Jannat mein ghar mera taiyaar hai
Haan mujhko Yeshu se hi pyar hai
Pyar hai pyar hai -2

Yeshu hi hai zindagi, Aao kar lo bandagi
Waqt na phir ye aayega, dard dava ho jayega
Ho jayegi der to, dost bahut pachtayega
Yeshu hi hai zindagi, Aao kar lo bandagi – 2
Dil yeh masih ka talabgaar hai
Choo liya – 3….

Dil Dil De Diya Hai | Khush Khabri | Anil Kant

Dilruba, maharaba, humnafas, humnava,
Dilkashin, dilnashin, aafreen, yakhuda

Dil Dil de diya hai -4 maine tujhko 2
Dil wala hai tu sabse bada
Teri ada hai sabse juda

Yeh zindagi -hai roshni
Yeh aashique – hai bandagi
Tu de raha hai har khushi – 2
Humko mili hai teri wafa -2
Jo bhi tu chahe hoga yahan

Teri nazar dagar -2
To phir mujhe hai kaisa dar
Tujhko sabhi ki hai khabar -2
Teri nazar se kuch na chupa – 2
Tune dikhaya hai raasta 

Kuch Bhi Nahin | Khush Khabri | Anil Kant

Kuch bhi nahin hai, pyar ke bina
Mera masih hai, pyar ka khuda
Ye Zameen, yeh Aasmaan
Ye Bandagi, yeh Zindagi -kuch bhi nahin
Kuch bhi nahin hai pyar ke bina

Pyar mohabbat ishq wafa, naam hai tere sabhi khuda
Zindagi mein hume bus pyar kare, tere milne ka intezar kare
Hum tere bin kuch bhi nahin, Kuch bhi nahin hum tere bina
Kuch bhi nahin hai….

Pyar kabhi jalta nahin, apni badai karta nahin
Pyar hai dheeraj, pyar hai maafi
Darta nahin bura manta nahin
Sab baaten yeh seh leta hai, sacchi baat bhi keh deta hai
Khush hota hai acchai se, door rahe burai se
Pyar kabhi jalta nahin, apni badai karta nahin

Pyar hai dheeraj, pyar hai maafi
Darta nahin bura manta nahin
Gyan adhoora, pyar ke bina
Kuch bhi nahin hai…. 

Prem Geet | Khush Khabri | Anil Kant

Maine tere liye sirf tere liye
Teri tarif mein bandagi ke liye
Gaaya …. Prem geet -2

Tu mera pyar hai, tu meri aarzoo
Tu mera chain hai, tu meri justju
Yeshu …… Aye masih…
Tune mujhko apna banaya
Tune mujhko jeena sikhaya -2

Aisi hi rahoongi main hardam
Jaisa tune mijhko banaya
Main jahan bhi rahoon, bas teri yaad mein
Mera mann to sada teri fariyad mien
Yeshu ……… aye masih

Dil ye chahe gaati rahoon main
Geeton ke phool sajati rahoo main
Tere hi sur mein, teri lay mein

Duniya ko apna banati rahoon main
Is jahan mein sadaa, tera naam rahe
Har nazar dekhe har zubaan ye kahe
Yeshu….. Aye masih 

O Mere Khuda | Khush Khabri | Anil Kant

O mere Khuda -2
Maine sada tera naam liya
Maine jo bhi maanga tune mujhko diya
O mere Khuda…

Na aasmaan manga humne
Aur na jameen mangi humne
Naa chaand tare sitare mange the
Aur naa hava mangi humne
Bina mange hi tune sab kuch diya
O mere Khuda…

Ek phool khila gulshan mein
Ek aas bandhi hai jeevan mein
Tere aane se ai Yeshu
Aabad hua hai aangan ye
Tu nahin tha jeevan mein kuch bhi na tha
O mere khuda…

Bas ek dua mange milke
Hum tere dar pe ai malik
Hum phool hai jitne gulshan ke
Har mausam mein mahake milke
Mahaka na jo phool to voh phool hi kya
O mere khuda…

Aaj Ka Yeh Din | Khush Khabri | Anil Kant

Aaj ka ye din shubh din hai
Aaj ki ye raat shubh raat
Aao hum kare pyar se shuru
Pyar ke masiha ki baat

Tere liye mere liye
Aaya ha woh sabke liye – 2
Aisa pyar dekha na kabhi
Aisa pyar paya na kabhi
Pyar mein uske gairon ne bhi apnapan paya
Mera har din naya din hai
Meri har raat nayee raat hai ,
Aao…….

Uski har baat hai mera jonoon
Woh din raat hai mera sukoon
Pyar masih ka meri himmat pyar mera saaya
Har kadam -2 woh hai mere sang
Har jagah masih hai mere saath
Aao hum ………..