Meri Rooh | Ibadat Karo | Anil Kant

Meri rooh khuda ki, pyasi hai, meri rooh
Jaise hirni, paani ke naalon ko tarasti hai, meri rooh
Meri rooh, khuda ki, pyasi hai, meri rooh…..

Raat aur din aasoon behte hain
Duniya wale sab kehte hain
Hai kaun kahan hai tera khuda
Kyun hai itna bechain yeh dil
Kyun jaan yeh girti jaati hai
Hoga kis din deedar tera
Kab hoga milna rubaru, meri rooh

Yardaan ki zameen se gaoonga
Kohe mizgaar se gaaonga
Geharaon se geharaon tak
Raat aur din hoga tera karam
Mein geet dua ke gaaonga
Woh mujhpe kare apni rehmat
Hai meri bus yeh arzoo….

Dushman ki malamat teer si hai
Kyun uske zulm ka sog karoon
Chattaan hai meri mera khuda
Woh mujhse yeh hardam kehte hain
Hai kaun kahan hai tera khuda
Hoga kis din deedar tera
Mere toote dil ki aas hai tu, meri rooh….

See also  Mujhpe Reham Kar | Ibadat Karo | Anil Kant