Author: admin
Tera Lahu | Tera lahu (Your Blood) | Gopal Masih
Tera Lahu ksahma
Suli Par tu Kurban hua
Dene Mujhe Jeevan Nay
tune Sahe Kitne jakham
Teri Mohabbat Hain Baya
Tune Mere Rogo Ko Sahaliya
Mere Gunaho Ke Karan, Tu Ghayal Huva
Tere Kode Khane Se, Mein changa Hua
Tune Apni Jaan De kar Mujhe Zinda Kiya
Jeevunga Me Tere Liye e Mere Masiha
Sagar Se Gahra He Pyar Tera
Dil Se Karu Me Ikrar Tera
Tu Hi Masiha Snasar Mera
Tuhi Meri Hain Panah, Tu Mera Aashra
Tere Lahu Se Mujhe Naya Jeevan Mila.
Us Khuda-e Paak | Ibadat Karo | Anil Kant
Woh mera ghar hai, Panaah meri mai yeh sabse kahoon
Uspe hi tu rakh umeed aur, Uspe hi kar le yakeen
Jaal mein sayeead ke tujhko chuda lega wahi
Woh tujhe apne paroon se dhaank lega pyar se
Uski sachaai hai teri dhaal ab darta hai kyun
Chahe din ke teer hon ya raat ki hai baat ho
Tujhko choo bhi na sakenge chahe jo haalat ho
Is taraf kitne girenge us taraf bhi beshumaar
Par tere nazdeek bhi na aa sakegi maut yun
Tumne hak taala ko mana is liye yeh baat hai
Har musibat mein ya aafat mein woh tere sath hai
Sher ko bhi raund kar tu yun nikalta jaayega
Woh tujhe bakshega izzat umr bhar dega sukoon
Mujhpe Reham Kar | Ibadat Karo | Anil Kant
Hai meri jaan ko teri panaah
Mujhpe reham
Main tere paron ke saaye mien loonga panah
Jab tak na tal jaye hare ek aafat khuda
Ghera hai mujhko mere dushmanon ne yahan
Woh meri khatir falak se madad bhejega
Tera jalaal saari zameen par ho
Tu jaanta Hai khuda mere hun mein kahan
Aatish mizaaj aur sheron ke hoon darmiyan
Talwar jaisi zubaan daant hain barchiyan
Tu apni rehmat aur sachaai kar de bayaan
Tera jalaal sari zameen par ho
Dil ab hai tera tere geet main gaaonga
Ab saari duniya ko yeh baat batlaoonga
Taarif teri karta rahoon main sadaa
Rehamat aur sachaai teri buland aye khuda
Tera jalaal saari zameen par ho
Kab Tak | Ibadat Karo | Anil Kant
Aye khuda mujhpe itna kahar naa dikha
Ab to mujhpe raham kar ke main mar chala
Mujhko dede shifa-2
Bekaraari meri jaan ki badti rahegi, yeh kab…
Aye khudawand tu ab meri jaan ko chuda
Apni rehmat ki khatir se mujhko bachaa
Mar ke kaise karoonga tujhe yaad mein
Kabr mein shukr kaise karoonga ataa
Mein to karhate-2 thak hi gayaa, aur…
Mere bistar pe hai aasoon ki nami
Meri aankhen bhi ro ro ke jaati rahin
Aye mere dushmanon tum yeh sunlo zara
Mere malik ne sunli meri dua
Hain woh dushman mere bekaraar aur sharminda
Rehmat khuda teri rehmat…
Mubarak Hai Jiske | Ibadat Karo | Anil Kant
Jo paap ke raaste pe nahin chalta hai
Rukta nahin paapiyon ke raaste mein kahin
Jinko nafrat hai khuda se,Unki mehfil mein na jaye
Jinko shariyat mein khuda ki, Hi mazaa milta hai
Woh us darakht ki maanind
Jo hai paani ke kinare
Apne mausam se phal aaye
Rahe patte hare bhare-2
So woh jo kuch bhi hai karta, Woh use phalta hai.
Sukhe tinke ki tarah jism yeh ud jaayega
Uske darbar mein paapi na jagah paayega-2
ke khudawand jo hai saadikon se milta hai…
Woh Khuda Mera | Ibadat Karo | Anil Kant
Woh mujhe hari -2 charagahon mein, laake bithata hai
Mujhe raahat ki nadiyon ke paas, mera khuda le jaata hai
Meri jaan bahaal karta hai…
Woh khuda mera charwaha hai….
Chaahe maut ke saaye ki hi, vaadi se main jab bhi guzroon
Tu jo paas hai mere khuda, Main kisi balaa se kyun daroon
Mujhe raas hai teri wafaa…..
Woh khuda mera charwaha hai….
Mere dushmanon ke saamne, tu mera mez lagaata hai
Bharpoor karta hai mujhko, labrez mera pyala hai
Aur mujhko pyar dikhata hai….
Woh khuda mera charwaha hai….
Hai yakeen mujhe teri rahmat, mere saath rahegi umr bhar
Hoga sada mera bhala, Gar tu hai mera humsafar
Tere ghar mein rahoonga main sadaa,
Woh khuda mera charwaha hai….
Parbaton Ko | Ibadat Karo | Anil Kant
Kaun hai madadgaar mera-2
Mera madadgaar khuda hai
Jisne zameen aur aasman ko banaya-2
Woh tere paon ko, fisalne nahin dega
Khudawand hai tera, jaaga hua
Tujhe tanha na chodega-2
Mera nigehbaan khuda hai
Teri jaan ko balaa, chu bhi na paayegi
Na garmi chaand o suraj ki kabhi, tujhko satayegi
Mera saahibaan khuda hai…
Jisne zameen aur aasman ko banaya-2
Meri Rooh | Ibadat Karo | Anil Kant
Jaise hirni, paani ke naalon ko tarasti hai, meri rooh
Meri rooh, khuda ki, pyasi hai, meri rooh…..
Raat aur din aasoon behte hain
Duniya wale sab kehte hain
Hai kaun kahan hai tera khuda
Kyun hai itna bechain yeh dil
Kyun jaan yeh girti jaati hai
Hoga kis din deedar tera
Kab hoga milna rubaru, meri rooh
Yardaan ki zameen se gaoonga
Kohe mizgaar se gaaonga
Geharaon se geharaon tak
Raat aur din hoga tera karam
Mein geet dua ke gaaonga
Woh mujhpe kare apni rehmat
Hai meri bus yeh arzoo….
Dushman ki malamat teer si hai
Kyun uske zulm ka sog karoon
Chattaan hai meri mera khuda
Woh mujhse yeh hardam kehte hain
Hai kaun kahan hai tera khuda
Hoga kis din deedar tera
Mere toote dil ki aas hai tu, meri rooh….
Ibadat Karo | Ibadat Karo | Anil Kant
Aye duniya ke logon, oonchi awaz karo
Gao khushi ke geet, uska gungaan karo
Ibadat karo uski, ibadat karo….
Yaad rakho ke, wahi ik khuda hai
Humko yeh jeevan, usi ne diya hai
Us charagah se, hum sab hain aaye
Hamd-o-sana ke, hum geet gayen
Rab ka tum shukr karo
Oonchi aawaz…..
Naame-khudawand kitna mubarak
Mera khudawand kitna bhala hai
Rehmat hai uski sadiyon purani
Wafa ka azal se, yahi silsila hai
Us par imaan dharo, uske ghar aao chalo
Gao khushi ke geet, uska gungaan karo
Ibadat karo uski, ibadat karo….