Abba Pita Hai Premi Parmeshwar

Abba Pita Hai Premi Parmeshwar,
Dayalu Taranhar, Tri ek Parmeswar;

1. Khoye Hue The,
Bhatake Hue The,
Dhundhne Hame Aaya;
Gale Lagaya,  Chuma Hai Hamko,
Sharan Me Le Aaya;
            Dhanyawad, Prabhu Ko Dhanyawad – 2

2. Ham TO Dalit The,
Ham To Patit The,
Dali Najar Jo Naath;
Dhadhas Badhaya, Aashu Ko Pocha,
Thama Hamara Haath;
            Dhanyawad, Prabhu Ko Dhanyawad – 2

3. Dal-Dal Ki Khich Me,
Ham To Pade The,
Tune Nikala Hame;
Kalwari Ke Khun Se Hame Kharida,
Apana Banaya Hame;
            Dhanyawad, Prabhu Ko Dhanyawad – 2

4. Har-Har Hamare Sath Rahkar,
Hame Sambahlta Hai;
Atal Prabhu Hai Anant Premi,
Mahima Ke Yogya Hai Tu;
            Dhanyawad, Prabhu Ko Dhanyawad – 2

5. Parwat Se Ucha, Sagar Se Gahra,
Pram DikhaTa Hai;
Sanatan Premi Ke Prem Ka Zanda
Ham Par Lahrata Hai;
            Dhanyawad, Prabhu Ko Dhanyawad – 2

Apne Jivan Ki Raho Par

1. Apne Jivan Ki Raho Par,
Yeshu Ka Naam Le Chalo; (2)
Yeshu Ka Saath Le Chalo
Yeshu Ka Pyaar Le Chalo (2)

2. Aadi Aur Ant Wah Hai,
Alfa Omega Wah Hai; (2)
Marg Aur Satya Jivan,
Yeshu Prabhu Wahi Hai; Apne Jivan…

3. Yeshu Naam Nitya Le Lo,
Dil Me Use Basalo; (2)
Apne Dil Ki Har Musibat,
Tum Aaj Dur Kar Lo; Apne Jivan…

4. Dil Me Bulao Usko,
Nahi Door Hai Wah Tumse; (2)
Sab Paap Ko Mitakar,
Karata Wah Pyar Tum se; Apne Jivan…

Apna Boz Prabhu Par Daal

Apna Boz Prabhu Par Daal,
Kabhi Na Ghabra Na,
Tera Aadar Maan Karega,
Ashcharya Karm Karega;

1. Bhakto Ko Wah Bhulega Nahi,
Hamesha Unki Sambhal Karga Ga;

2. Tarna Hara Hamri sharan,
Sae Me Lekar Chalta Hai;

3. Mata Pita Yadi Chod Deve,
Wo To Gale Se Lagae ga;

4. Prabhu Hamare Saath Rahe,
Samna Kaun Kar Payega;

5. Pura Samarpan Usko Kare,
Wo Hi Sabkuch Dekhe Ga;

6. Boz Prabhu Par Daal Diya Hai,
Ab Kyo Ghabra Na;

7. Wo Hi Aadar Maam Karega,
Ashcharya Karam Karega;

Adbhut Samarth Se Bhara Yeshu Naam

Adbhut Samarth Se Bhara Yeshu Naam (2)
Swarg Aur Prithvi Ka Usme SarvAdhikar,
Adbhut Samarth Se Bhara Yeshu Naam;

Wah Prabhu Hai Prabhu Hai, Raaja Hai, Raaja Hai
Yeshu Khrist Prabhuo Ka Prabhu Hai
Wah Prabhu Hai Prabhu Hai, Raaja Hai, Raaja Hai
Yeshu Khrist Raajao Ka Raaja Hai

Sada Jay Yeshu Ke Lahu Me Hai (2)
Paap Aur Mrutyu Aur
Shaitan Ki Shakti Par
Sada Jay Yeshu Ke Lahu Me Hai

Uski Sangati Me
Hai Aanand Apar (2)
Sare Dukh Aur Dar Ka Hota Hai Nidan
Uski Sanati Me Hai Aanand Apar

Yeshu Naam Me Rogo Se Mukti Hai (2)
Yeshu Naam Se Hote Hai Adbhut Kaam
Yeshu Naam Me Rogo Se Mukti Hai

Aansu Ki Khati Mein

Aansu Ki Khati Mein, Jab Me Hui Thi Nirash
Aansu Bahane Wala Prabhu, Kaya Karega Virat (2)

Tera Man Na Hoo Nirash, Tera Man Na Ho Ghayal Bhi
Sarwada Tere Saath, Rahega Ant Tak Yeshu (2)

Agni Ki Bhathhi Ho, Shiho Ki Gufa Ho
Bandi Gruh Aur Maru sthal, Mrutyu Bhi Aane Do   (2)
                                                             Tera Man Na……..

Kab Tak Karu Intajar, Prabhu Tere Aane Ki
Kab Tu Mitaye Ga, Kasth Humare Prabhu (2)
                                                             Tera Man Na……..

Mai Gaunga Teri Hi Mahima | Samir Tiruwa

mai gaunga teri hi mahima
mai gaunga teri hi prasansa

haste anand se
nachte uchalte
main gaunga (2)

dhanya dhanya
dhanya dhanya
dhanya dhanya
yeshu tu hai (4)

humko bachane wo aaya hai
humko chudane wo aaya hai (2)
jivan bhar ki khusia wo sath laya hai

mahan mahan
mahan mahan
mahan mahan
yeshu tu hai (4)

mukti dilane wo aaya hai
asha dilne wo aaya hai
is dilme yeshu ne ghar banaya hai

raja raja
raja raja
raja raja
yeshu tu hai (2)
dhanya dhanya….

Manva Re | Hum Safar | Tahira Haider Ali Masih

Manva Re Karle Tu Toba Abhi
Char Din Ki Jindagi Hai Ye  (2)
Kya Jane Koun Kal Ho Kya
                                Manva Re….

Yeshu Mashiha Ne Dukh Uthaya
Hatho Aur Pairo Ko Ghayal Kiya (2)
Sir Parbhi Kato Ka Taj Pahna
Bas Tere Liye Papi Re (2)
                                Manva Re….

Wakt Abhi Hai Tu Aaja Karib
Yeshu Se Mukti Tu Le Le Abhi (2)
Dekh Salib Se Aayi Pukar
Naya Jivan Tu Paa le (2)
                                Manva Re….

Prem Anand Shanti | Prem Anand Shanti | Anil Kant

Galatians 5:20
Bhar de bhar de mujhe bhar de-2
Paak ruh paak ruh,
mujhe apne massa se bhar de
Paak ruh paak ruh,
mujhe apne phalon se bhar de
Mujhe bhar de bhar de mujhe bhar de

Galatians 5:22-23
Premanand shanti,
dheeraj kripa bhalai
Vishwas namrata, aur saiyam
Paak ruh se bhar jaayen,
aatma ke phal laayein
Bhar de bhar de mujhe bhar de-2
Paak ruh paak ruh,
mujhe apne massa se bhar de
Paak ruh paak ruh,
mujhe apne phalon se bhar de

Galatians 5:16-26
Ruh ke sabab se zinda hue hain,
Ruh ke mutabik chalte rahein
Uske vachan pe amal karein aur
Mann jo chahe voh na karein
Nasihat ruh ki maanein,
Masih ko awwal jaane
Khwahishon ko apni
Krus pe rakhein
Ruh ke kaamon mein nahin
Hoti kabhi burai

Ephesians 5:1, 6
Jaise Masih ne ki hai mohabbat
Aur khud ko qurbaan kiya
Uski tarah hum, bante jaayein
Yeh usne paigaam diya
Kahin dhokha na khana,
Gunahon mein na aana
Kho na jaana duniya ki raahon mein
Andhera tha pehle, nayi roshni aayi
Prem anand shanti,
dheeraj kripa bhalai

aye masih tere bina jindagi me

aye masih tere bina jindagi me
hai na koi khushi (2)

tu aa mere dil me sama ja
tere bina jindagi hai suni suni
                    aye masih……

gam ka badal tha, chaya andhera tha
tune aakar muze, jivan deep diya
                    tu aa mere…..
                    aye masih……

aye masih tune krush par jaan apni di
taki isme mile mujhko nayi jindagi (2)
                    tu aa mere…..
                    aye masih……

1 19 20 21 22 23 33