Kaisa kaam Masih kar diya | Prem Anand Shanti | Anil Kant

Shukr Yehovah ka-2
Kaisa kaam Masih kar diya
Mujhko gunaah se bari kardiya
Kaise tera shukr karoon main
Mujhko naya aadmi kar diya

Romans 3:24-25
Uske fazal se uske wasile se
Sabke gunah hain maaf kiye jaate
Mujrim ho kaisa, gunahgaar kaisa
Imaan jo laaye,
chutkaara uska abhi kar diya

Romans 10:10
Imaan lana dil se hota hai
Aur munh se ikraar kiya jaye
Imaan jo laayega,
sharminda na hoga
Murdon se ji uthega,
Maut ko usne zindagi kar diya
Kaisa kaam Masih kar diya

Daya Kar | Prem Anand Shanti | Anil Kant

Mandir mein aaya hoon,
Haikal mein khada hoon
Toot gaya tha,
paas aaya hoon main
Daya kar, daya kar-2
Pyare Masiha, sacche Masiha
Daya kar, daya kar-2

Hebrews 4:16
Dil mein yeh bharosa leke main Singhaasan ke paas aa gaya
Anugrah milega, madad milegi
Mil jaayega tera aasara
Peeche mud gaya tha,
door ho gaya tha
Bhatak gaya tha,
laut aaya hoon main
Daya kar, daya kar…
Pyare Masiha, sacche Masiha
Daya kar, daya kar-2

Yesu Naam tu gaale | Main Mandir Hoon Tera | Anil Kant

Yesu Naam tu gaa le
Praanon mein basa le
Bhavsagar tu tar jaayega

Paap uthaye bhatak rahaa kyun
Yesu sharan mein aa jaa
Jag ke peeche, bhaag raha kyun
Yesu mein aa ke samaa ja
Yesu hi sambhale, Yesu hi bachaa le
Bhavsagar tu, tar jaayega

Naam mein Yesu ke shakti
Hai shanti hai mukti
Chod de sab duniya ki baaten
Kar Yesu ki bhakti
Jeevan milega, anand milega
Jab Yesu ke ghar jaayega

(Romans 8:28)
Unke liye sab baaten milkar
Achhi hi ban jaayen
Woh jo Prabhu se, pyar hain karte
Aur jo gaye hain bulayen
Vaada hai uska, uska vachan hai
Khali kabhi na, woh jaayega 

Paanch roti | Main Mandir Hoon Tera | Anil Kant

Yesu jab jheel se pahaad pe gayaa
Ankh utha ke usne badi bheed ko dekha
Shaagird kehne lage din hai dhal gayaa
Rukhsat karo unko jaane do Khuda
Yesu ne kahaa inko khane ko do
Kitna hai tumhare paas, kehne lage woh
Paanch roti, do machhliyan-2
Dhanyavaad Prabhu, dhanyavaad

Paanch hazaar logon ko hum kaise khilayen
Kitne sau dinar ki hum roti mangaayen
Darte darte phir magar kisi ne ye kaha
Hai yahaan pe ek ladka jiske paas hain
Paanch roti, do machhliyan-2
Dhanyavaad Prabhu dhanyavaad

Ghaas pe Yesu Masih ne sabko bithaya
Rotiyan li shukr kiya, baant do kahaa
Pet bhar ke sabne khaya khatm na hua
Ho gaye hairaan saare, dekh mojzaat
Baaraah tokri, bach gayi jahaan thi
Paanch roti, do machhaliyan-2
Dhanyavaad Prabhu dhanyavaad

Jeevan ki roti ke saath khade the
Vishwas kam tha isliye woh dare the
Yesu ke haathon mein de do har baat
Shak na karo, karte raho sirf dhanyavaad
Kuch bhi kami na rah jaayegi
Mahima Prabhu ki ho jaayegi
Dhanyavaad Prabhu dhanyavaad 

Dohe ( Couplets ) | Main Mandir Hoon Tera | Anil Kant

Yesu mukti marg hai, Yesu hai udhaar
Andhkaar se taar de, Yesu naam pukaar

(2 Corinthians 6:14)
Ek baat mann mein rahe, Prabhu ya jag ka pyar
Dono sang na reh sake, suraj aur andhkaar

(Matthew 6:19-20)
Dhan se prem na kijiye, sab lut jaayega
Swarg mein jodi sammpati, chor na khaayega

Mayaa nagari chod ke, jaana hai us paar
Jo bhatka bhatka rahaa, kabhi na paaya saar

Jisko saccha sukh mil jaaye
Woh jhoote ki or na jaaye

(Matthew 15:14)
Jag ke aise gorakh dhande
Andhon ko haanken hain andhe

Roop sanwaara, ang sajaaya
Ant samay kuch kaam na aaya

Jisne jeevan amrit chakhaa
Us khaatir jag mein kya raakha

(Luke 14:16-24)
Laakhon ko nyota mila, par thode hi aaye
Roti uske haath ki, koi virlaa hi khaye
Yesu Mukti marg hai

Saar- essence virlaa- sparse, nyota (invitation) 

Aye Khuda Mere Khuda | Main Mandir Hoon Tera | Anil Kant

Aye Khuda Mere Khuda,
Mere Khuda, Yesu
Mere dil ko aas hai Teri
Meri jaan ko pyas hai Teri
Tere mandir mein jab aaon
Teri taaqat quwwat paaon
Aye Khuda Mere Khuda…

Zindagi se behtar hai, tera reham Khuda
Honth mere gaayenge, Teri hamd aur sana
Saari umr tujhko mein mubarak kahoonga
Tera naam lekar apne haath main uthaoonga-2
Mere dil ko aas…

Raat ke har ik peher mein, bas teri yaadon mein
Apne bichaune pe baithaa rahoonga
Khud ki khabar nahin, Khuda ka junoon hai
Teri baadshahat mein kitna sukoon hai-2
Mere dil ko aas… 

Lahoo Yahovah Ka | Main Mandir Hoon Tera | Anil Kant

Paak Lahoo hai, Lahoo Yesu ka
Zindaa Lahoo hai, Lahoo Yesu ka
Lahoo Yehovah ka-2 (John 6:53)
Paap mitaata, Lahoo Yesu ka
Jeevan data, Lahoo Yesu ka
Lahoo Yehovah ka-2

Yesu Masih mein mujkho kaayam
Uska Lahoo karta hai (John 6:56)
Mere paap ki keemat deke
Mujhko rihaa karta hai (Romans 5:9)


Khoon ke dum se, zinda hua hai-2
Har shakhs duniya ka-2
Bas odh le jo, Lahoo Yesu ka
Usko chuda le, Lahoo Yesu ka
Lahoo Yehovah ka-2

(Hebrews 9:14)
Bakron aur baccharon ka nahin hai
Apna khoon diya hai
Jo beiab hai, aur jo paak hai
Woh qurbaan kiya hai
Paak Lahoo se paak kiya hai -2
Shukr Khudawand ka- 2
Parda khole, Lahoo Yesu ka
Bhar de sholay, Lahoo Yesu ka
Lahoo Yehovah ka-2

(Hebrews 13:20-21)
Nek aur achhi baaton mein woh
Kaamil hamen karta hai
Rab ki poori marzi mein woh
Shaamil hamen karta hai
Teen gawahi, rooh paani (1 John 5:8)
Aur lahoo Yahovah ka
Khushiyan manao, Lahoo Yesu ka
Jeet gaya hai, Lahoo Yesu ka
Lahoo Yehovah ka-2
1 16 17 18 19 20 33