Paanch roti | Main Mandir Hoon Tera | Anil Kant

Yesu jab jheel se pahaad pe gayaa
Ankh utha ke usne badi bheed ko dekha
Shaagird kehne lage din hai dhal gayaa
Rukhsat karo unko jaane do Khuda
Yesu ne kahaa inko khane ko do
Kitna hai tumhare paas, kehne lage woh
Paanch roti, do machhliyan-2
Dhanyavaad Prabhu, dhanyavaad

Paanch hazaar logon ko hum kaise khilayen
Kitne sau dinar ki hum roti mangaayen
Darte darte phir magar kisi ne ye kaha
Hai yahaan pe ek ladka jiske paas hain
Paanch roti, do machhliyan-2
Dhanyavaad Prabhu dhanyavaad

Ghaas pe Yesu Masih ne sabko bithaya
Rotiyan li shukr kiya, baant do kahaa
Pet bhar ke sabne khaya khatm na hua
Ho gaye hairaan saare, dekh mojzaat
Baaraah tokri, bach gayi jahaan thi
Paanch roti, do machhaliyan-2
Dhanyavaad Prabhu dhanyavaad

Jeevan ki roti ke saath khade the
Vishwas kam tha isliye woh dare the
Yesu ke haathon mein de do har baat
Shak na karo, karte raho sirf dhanyavaad
Kuch bhi kami na rah jaayegi
Mahima Prabhu ki ho jaayegi
Dhanyavaad Prabhu dhanyavaad 

See also  Na Aankhon Ne Dekhi | Teri Raahein Behtar Hain | Shreya Kant