Ibteda Mein | Pray For India | Anil Kant

Ibteda mein kalaam tha

Aur woh khuda ke paas tha
Woh kalaam khud khuda hi tha
Pehle se uske saath tha
Ibteda mein………
Usme hi sab kuch paida hua
Uske bina toh kuch bhi na tha
Ibteda mein…….
Thi us kalaam se hi zindagi
Thi woh hi insaan ki roshni
Ibteda mein……..
Woh noor chamka, andheron mein
Andhera usko samjha na tha
Ibteda mein………………..
Ibteda-  beginning
 kalaam-  word
See also  Paanch roti | Main Mandir Hoon Tera | Anil Kant