Masih jalal ki umeed | Khudawand tujhe barkat de | Anil Kant

Uski khatir dukh sehta hoon

Masih jalaal ki umeed
Mujhpar Khudawand ne yeh
Zaahir karna chaha
Gair- kaumon se usne
Baahar mujhe nikala
Mujhe di jalaal ki daulat
Yeh bhed mujhe sikhlaya
Ke Masiha mujh mein rehta hai

Saath Masih ke khush rehta hoon
Dil se jaan se aur akl se
Pyar Khudawand se karta hoon
Khadim banaa hoon main uska
Main uske kaam karoonga
Jo usne sikhayi baatein
Saari duniya se kahoonga

Sabko ye daulat baatenge
Muft mila hai muft mein denge
Quwwat hai woh, Taaqat hai woh
Jo paayen woh kaamil honge

Aao sunayen hum chal ke
Sab duniya ko khushkhabri
Ab jaan le duniya wale
Yeh bhed ki baatein ghehri

See also  Parbaton Ko | Ibadat Karo | Anil Kant