Mere Khudawand | Aye Sonewale Jaag

Mere khudawand, tu meri taaqat, tu meri himmat
Main tujhse mohabat rakhta hoon
Main teri raah pe chalta hoon
tu hai meri chattaan khuda
tu mera hai main tera hoon….

Meri sipaar aur meri najaat aur
Mera ooncha burj hai tu
Tu hai sitayish ke laayaq
Mujhe dushman se hai bachata tu
Haan maut ne mujhko ghera tha
Aur sailabon ne darayaa tha
Tab maine tujhko pukara tha
Aur tujhse khuda fariyad bhi ki
Tune apne haikal se meri Awaz suni, fariyad suni

Uski yaad pe chalta hoon main
Usse door na hota hoon
Badkari se baaz aaon
Haathon ko apne paak rakhoon
Jo nek hain unse nek hai woh
Neecha maghroor ko karta hai
Mujhe uski badaulat jeet mili
Raahen bhi roshan hui meri
Vaade uske jaanche parkhe
Main unpe bharosa rakhta hoon

Tere siwa hai kaun mera ab
Kaun bhala chattaan meri
Quwwat se mujhe bharta hai
Kaamil karta hai raah meri
Tu zinda hai tu mubarak hai
Tu mere sar ko uthata hai
Saari duniya mein tera shukr karoon
tere naam ke geet main gaaonga
tu badi inayat karta hai
teri rehmat sada main paaonga

Sipaar- shield; sitayish- praise; burj- fortress, sailabon – deluge, haikal- temple, badkari- wrong deeds, maghroor – proud, Kaamil- integral

See also  Roshni Ho Gayi | Aye Mere Baadshah